Fiverr Kya hai aur Fiverr se online paise kaise kamaiye: Hello Dosto swagat hai aap sabhi ka hamare website pe, aaj mai aapko bataunga ki Fiverr kya hai aur Fiverr se online paise kaise kama sakte hain.
To sabse pehle jaante hain ki Fiverr kya hai
Fiverr kya hai?
Fiverr ek services ka online market place hai, Aasaan bhasa mein bolu to ye ek bazzar hai jaha sevaiyen kharidi ya bechi ja sakti hai, lekin Fiverr ki khas baat ye hai ki yaha sab khuch keval 5$ ka hai. Internet pe hazaro logo ko khuch chahiye jaise kisi ko sketch banwana hai, kisi ko app developed karwana hai, to kisi ko apne company ke animated promotional videos chahiye ye sab log Fiverr pe jake Khojte hain ki koi unka kaam karne wala mil jaye. Aur agar aapko khuch karna aata to aap Fiverr se aisahi har kaam ke paise kama sakte hain. To chaliye jaante hain ki Fiverr pe account kaise banaiye.
Fiverr pe account kaise banaiye?
Sabse pehle to aapko Fiverr ki website pe jana hoga, aap yaha se bhi jaa sakte hain. Click here to go
Website pe jaane ke baad aapko Join pe click karna hai.
Join par click karte hi ek dabba sa khul jayega uske baad aapko usme apna email enter karna hai uske baad aapko Continue pe click karna hai.
Continue pe click karne ke baad aapse username choose karne ko bolega uske baad password choose karne ke baad Join pe click karna hai. Uske baad aap fiverr mein logged in ho jayenge lekin usse pehle aapko apna account activate karna hoga, activate karne ke liye apne email mein jaye. Uske liye Go to Gmail Account pe click kare.
Apne Gmail Account mein jaane ke baad aap apne account ko activate kar le. Account activate karne ke baad aapko edit your profile pe click karna hai uske baad apne naam daalkar Save Changes pe click karna hai.
Uske baad aapko billing Information fill karna hai. Jaise ki apna Company Name, aapka full name, country, addresss, zip code uske baad send me invoice via email pe click karna hai uske baad save changes pe click karna hai.
Aapko sab khuch fill kar dena hai apna poora profile taaki aapko order mil sake aur aap kaam karke money earn kar sake. Profile complete karne ke baad ab hame Gig create karna hai. Dekhiye Fiverr pe aap kaisi sevaayein de sakte hain ya phir aapko kaisa kaam milta hai jaise ki aap web page design kar skate hain, ya phir mobile app develop kar skate hain, kisi ke liye aap animated videos bana sakte hain, koi facebook page banwata hai to kisi ko facebook page ke liye like chahiye, hazaro kaam hain yaha pe jo kiye jaa sakte hain aur har kaam ke lagbhag 300 rupees milta hai, inhi sab services or kaam ko kehte hain Gig. Aapko yaha har kaam ka 5$ milta hai jisme se Fiverr 1$ kaat kar aapko 4$ deta hai. To chaliye ham ek gig create karte hain.
Sabse pehle jaante hain best Fiverr gigs kaun kaun hain
- Logo Creation
- Animated Videos Creation
- Guest Post Writing
- Infographic
- Facebbok Page Likes
Gig create karne ke liye sabse pehle aapko Dashboard pe click karna hai. Uske baad you can start selling in 5 minutes pe jaake create pe click karna hai.
Uske baad aapko apne Gig ka title dena hai uske baad category, phir sub category aur last mein aapko tags dena hai, uske baad aapko Save & Continue pe click karna hai. Tags dene ka matlab ki fiverr pe kaun se keyword ko search karne ke baad un sabko ko aapka profile dikhe aur wo aapko order de sake work ke liye.
Ab aapka gig create ho chuka hai ab jab koi person search karega aapse related keyword to usme aapka profile aayega uske baad aap unka kaam samay pe kare aur khoob earning kare.
Ummid hai ki aapko samajh aa gaya hoga ki Fiverr kya hai aur Fiverr se online paise kaise kama sakte hain, agar ab bhi aapko koi problem hai to aap comment kar sakte hain. Thanks
0 comments: