Earn money from UC Browser: Hello dosto swagat hai hamare website pe aaj mai aapko bataunga ki aap UC News mein post lik kar mahine ka 100$-200$ kaise earn kar skate hain.
Jab aapne kabhi bhi UC browser ko open kiya hoga to dekha hoga usme bahoot saare news hote hai jo aap bhi kabhi padhte hi honge, lekin kya aap jaante hai is news se logo mahine ke 10,000-12,000 rupees tak earn kar rahe hain, to agar aap bhi jaanna chahte hai ki aap kaise news likh kar paise kama sakte hai to dhyan se padhiye poora post. UC news ek aisa app mein jisme roz millions of people us app ko use karte hai usme news padhte hain, to kyo nhi iska fayda aap bhi uthaye. To chaliye jaante hai ki aap UC news mein post karke kaise paise kama sakte hain. UC news mein post likhne se pehle aapko UC news mein jaake aapko account create karna hoga to sabse pehle jaante hain ki UC News mein account kaise create karenge.
How to Create account in UC News?
Sabse pehle aapko is link pe jaake apna account create karna hoga. Click here to go. Is website pe jaane ke baad aapko Sign Up button pe click karna hai.
Sign Up button pe click karne ke baad aapko register karna hoga isme aapka email id,password, confirm password, invitation code agar aapke paas koi invitation code hai to enter kar dijiye, uske baad verification karne ke baad I have read and accept term & conditions pe click karne ke baad Continue pe click kijiye.
Continue pe click karne ke baad aapke Email pe verification code aayaega aapko apne email mein jaake verify kar lena hai.
Email Verify Karne ke baad aapse poocha jayega ki aap personal account banana chahate hai ya phir apne companies ke liye to aapko perosnal pe click karna hai uske baad aapko continue pe click karna hai.
Uske baad aapko apna account information dena hoga jaise ki apna name, category means aap kis category mein post likhna chahte hai UC news mein , language means aap kis language mein post likhna chahte hain., account operator name, Personal id mein apna pan card select kare uske baad aapko apna pan card ka number dena hoga uske baad pan card ka file id upload karna hoga aur uske baad apna phone number. Aur uske baad aapka koi blog hai to uska url dena hai, youtube chaneel hai to uska url dena hai, agar koi facebook page hai to uska url dena hai uske baad Ihave read and accept pe click karna hai uske baad Continue pe click karna hai.
Account information submit karne ke baad aapke account review mein chala jayega aur wo aapko inform karenge 10 working days mein. Uske baad aapke Email pe mail aa jayega ki aapka account confirm hua hai ki nhi account confirm hone ke baad aap UC news mei npost kar skate hain aur 10-15 post karne ke baad aap usme ads laga kar paisa earn karna start kar skate hain.
Mujhe Umiid hai ki aapko samajh aa gay hoga ki aap UC news mein post likh kar kaise paise earn kar skate hain. Agar ab bhi aapko koi problem hai to aap comment kar skate hain. Aapke sabhi comment ka reply diya jayega.
0 comments: