Create paypal account and verify paypal to bank account: Hello Dosto swagat hai aap sabhi ka hamare website pe, aaj mai aapko batunga ki paypal account kaise create karte hai aur uske baad usko bank se kaise verify karte hain.
Bahoot saare aise log hain jo nhi jaante hai ki paypal account kaise create hain aur sabse jyada problem hota hai paypal ko bank se verify karwana. To aaj ke post mai yahi bataunga ki paypal account kaise create karte hai aur uske baad usko bank se kaise verify karte hain.
How to create paypal account?
To sabse pehle aapko paypal ke official site pe jaana hai. Click here to go. Paypal ke home screen mein jane ke baad aapko Sign Up for Free par click karna hai.
Sign Up for Free par click kar dene ke baad aapko ek account choose karna hoga ki app kaun account choose karke sign up karna chahte hain. Agar aap business ke liye banana chahte hai to app For Business ko select karne kebaad next kar de, lekin agar aap personal banana chahte hain to aap For Shoppers ko select karke next button pe click kijiye.
Next karne ke baad aapko apna email address, password , Re-Enter password enter karne ke baad Continue pe click karna hai.
Continue pe click karne ke baad aapko apna name, middle name and last name, Date of Birth, Nationality, Address, your city, state aur last mein mobile number enter karne ke baad aapko "I agree..." pe tick lagane ke baad Agree and Create Account pe click karna hai.
Agree and Create Account pe click karne ke baad aapko apna card number, expiry date aur cvv enter karne ke baad aap Link card pe click kijiye. Aap chahe to aap baad mein bhi card ko add kar sakte hain, isilye aap "I will link my card later" pe click kijiye. Uske baad aapka Paypal account create ho jayega.
Uske baad aapko Manage your Account pe click karna hai
Click karne ke baad aapko ek notification aaya hoga us notification bell pe click kijiye uske baad Ok pe click kijiye.
Ok pe click karne ke baad aapko apna personal information fill karna hoga means aapko apna Pan Card link karna hoga aapko apne paypal account se. Uske baad aapko purpose code select karna hoga means aap kis purpose se paypal account create kiye hain aur uske baad aapko bank account add karna hai. Bank account add karte hi aapka account create ho jayega ab baari hai bank ko paypal ke saath verify karne ki.
How verify paypal to bank account?
Bank account add karne ke baad Paypal aapke bank mein 2 chotte- chotte amount send karega jo 1-2 rupees ke beech hoga wo same amount aapko pypal account mein daalkar submit kardena hai. Submit karte hi aapka bank account paypal se verify ho jayega. Ab aap paypal se bank mein paisa send kar skate hain.
Mujhe aasha hai aapko samjah aa gaya hoga ki paypal account kaise create karte hai aur usko bank ke saath kaise verify karte hain, agar aapko ye post pasand aaya to apne dosto mein jarur share share karein. Agar ab bhi aapko koi problem hai to aap comment kar sakte hai. aapke sabhi comment ka reply diya jayega.
0 comments: